Zindagi ke panno me ek chehra laut fir aya hai
Khafa hai zara sa hmse wo islie ye dil bhi to murjhaya hai
Yaado me hmare uski wahi khili khili si muskan hai
Jiske jaane se lga hme ki ab ye saari duniya hi sunsaan hai
Hmari har mulakat ki yaad dil me ab bhi taaza hai
Tera mujhse dur ho jaana meri galtiyon ka khamiaza hai
Apni kismt ki lakire padhne ko teri hatheli main thaam leta tha
Har khushi or gam me bhi apne naam tera bs leta tha
Kasme khayi ek duje se dil ki hm har baat kahenge
Kaha tha maine tujhse ki hum tum har dum yu saath rhenge
Kise pata nasib ki kahani kl kon sa rang dikhaegi
Waqt ki ret pe behti wo kashti kya manzil ko bhi chhu paegi
No comments:
Post a Comment