Lafzon ke piche hi chupa ek jazbaato ka bhandaar hai,
Zuba ke piche ankahi baato ka sansaar hai.
Kampti si aawaz k piche darr ka bhi kaisa khel hai,
Khilkhilayi si in baato me kin khushiyon ka mel hai.
Suna nhi tha jab wo khafa thi ,murjhayi uski baaton ko,
Smjha hi nhi tha gam ki wo aandhi jo ayi andheri raato ko.
Teri zara si buri baaton pr jb bhadak hm jaate the,
Uss gusse me bhi tere pyaar chupa tha ye kaha smjh hm paate the.
Pta nhi tha gam bhi chupa hai teri uss muskaan me,
Suna nhi tha tere dil ko rote uss jashne-veeran-me.
Smjh rha hu aaj bhi un ankahi si baato ko,
Zuba se nikle kuch lafzon me kahi chhupe jazbato ko.